kaise kahen ki chaar taraf daera na tha jate kahan ki khud se pare rasta na tha jab sans le rahi thi darakhton ke aas-pas aawaz de rahi thi koi bolta na tha khud se chale to rah-guzar aaina ho gai apne siwae aur koi sujhta na tha ab ke basant aai to aankhen ujad gain sarson ke khet mein koi patta hara na tha parda hila ke baad-e-sahar dur tak gai khushbu kidhar se aai kisi ko pata na tha guzri tamam umr usi shahr mein jahan waqif sabhi the go koi pahchanta na tha ai 'ashk' ek kitab padhi thi waraq waraq wo tirgi thi lafz koi sujhta na tha