fitrat ulat ke khwab dikhane diye gae gungon ko bad-zabani ke tane diye gae rahat ki pairwi mein takalluf ganwa diya aangan mein ghair log bhi aane diye gae andhon ki bargah mein aankhen fuzul thin ek sar-burida jism ko shane diye gae ek ret ki jabin pe patthar ki thokaren be-ghar musafiron ko thikane diye gae pani ki mat tishna-labon ko na thi qubul sad shukr mujh ko ashk bahane diye gae ye aasman zamin ki nalain rah gaya badle mein us ko tare ugane diye gae hum tirgi ke sath numayan the bazm mein un ko to un ke ghar se bhi lane diye gae hum pairahan ke tar se bandhe hue wajud tasbih ke mizaj ko dane diye gae do lashe hi to ghodon ke panw ka rizq the baqi to sare lashe uthane diye gae kitne zamane lamhon ki ghaflat se mar gae saat ki bandagi ko zamane diye gae bujhte hue charagh ki tabinda raushni wo raushni ki jis ko churane diye gae sajde meri jabin mein rakkhe gae magar aankhon mein mujh ko jism basane diye gae 'kazim' kisi ke gham ki rifaqat ka shukriya mujh ko bhi kuchh charagh jalane diye gae