mere muddaa-e-ulfat ka payam ban ke aai teri zulf ki siyahi meri sham ban ke aai hui kashif-e-haqiqat ye zamir-e-mai-kada ki meri be-khudi jo durd-e-tah-e-jam ban ke aai teri ek ada thi ye bhi gul-o-khar ko jagane jo nasim-e-subh-gahi ka khiram ban ke aai ye saba ki be-rukhi thi su-e-ashiyan jo guzri na salam le ke aai na payam ban ke aai mere gham-kade mein phuti jo shua dagh-e-dil se wahi ek charagh-e-taq-e-sar-e-sham ban ke aai sar-e-tur jis ki juya thi nigah-e-chashm-e-musa wahi ek jhalak farogh-e-lab-e-baam ban ke aai rukh-o-zulf ki tamanna mere dil ko muzhda-baada meri subh ban ke aai meri sham ban ke aai hai bahut muhaal is ka jo 'ghubar' ma-badal ho meri tirgi-e-qismat meri sham ban ke aai