footpath pe lete hain khud apna badan odhe dharti ke bichhaune par taron ka gagan odhe saya hai na ham-saya manzil hai na rasta hai kanton ki sadarat mein baithe hain chaman odhe phir un ke taghaful se aankhon mein nami aai jite rahe hum ab tak wadon ka kafan odhe haalat ne har shai ki tasir badal dali sunte hain ki shabnam bhi girti hai agan odhe baadal hai na bijli hai mausam na parinde hain roti rahi virani har samt gahan odhe yaadon ke safar se jab lauti to guman guzra hai mera badan jaise sadiyon ki thakan odhe ab apni tabahi ka kya us se gila 'nilam' hum ko mila andhiyara suraj ki kiran odhe