jhonpadon par muflisi ke khub chillati hai dhup han magar dekha ki zardaron se sharmati hai dhup gardishon se thak ke ghar mein jab pada rahta hun main sahn-e-khana mein mere talwon ko sahlati hai dhup chhin leti hai kabhi chehron se gul-shadabiyan aur kabhi thithure hue jismon ko garmati hai dhup pherti hai bastiyon par hath jitne pyar se taish mein utne hi sahraon pe bal khati hai dhup rahm ka ehsas tak fitrat mein us ki hai gunah barhana jismon pe aksar aag barsati hai dhup barhana-pa dhup ko raunde jo koi naznin apni is tauhin par bhi tilmila jati hai dhup chhat na hone se andheron ka nahin hota guzar ghar mein 'faizi' ke magar hamdam utar aati hai dhup