fughan-e-dard mein bhi dard ki khalish hi nahin dilon mein aag lagi hai magar tapish hi nahin kahan se laen wo soz-o-gudaz dil wale ki dilbari ka wo aahang wo rawish hi nahin haqiqaton ke bhi tewar badal to sakte hain hamari bazm mein khwabon ki wo khalish hi nahin dimagh kyun na ho sahil pe sone walon ka kabhi kabhaar jo tufan ki sarzanish hi nahin lubhaega use kya chand ka khunuk jadu jise nasib kadi dhup ki tapish hi nahin zamana qissa-e-dar-o-rasan ko bhul na jae kisi ke halqa-e-gesu mein wo kashish hi nahin ye rang-o-bu ke tilismat kis liye hain 'surur' bahaar kya hai junun ki jo parwarish hi nahin