fughan-e-nim-shabi mein koi asar de de jo ho sake to duaon ka ab samar de de visal-e-yar ki jis mein charagh jalte hon mere nasib ko aisa hi ek nagar de de bas ek sawal hai us ke buland mansab se qafas-nasib ko mumkin hai koi ghar de de main apne zakhm khud apne lahu se sinchungi mujhe qarar na de koi chaaragar de de wo aankh bujh gai jis se charagh jalte the tamam tera gharon mein koi khabar de de main aashiyane ke tinke sajae baithi hun hawa ke hath mein nanha sa ek sharar de de main us ke zarf ke bare mein aur kya likkhun jo apne sahn se duniya ko rahguzar de de gunah sawab ke sare hi rang hon us mein farishta chhod ke mujh ko koi bashar de de ye raat badh gai 'iman' koi khuda ke liye khuda se kah do ki lillah hamein sahar de de