dil mein wafa ki hai talab lab pe sawal bhi nahin hum hain hisar-e-dard mein us ko khayal bhi nahin wo jo ana parast hai main bhi wafa parast hun us ki misal bhi nahin meri misal bhi nahin ahd-e-visal-e-yar ki tujh mein nihan hain dhadkanen mauja-e-khun-e-ehtiyat khud ko uchhaal bhi nahin tum ko zaban de chuke dil ka jahan de chuke ahd-e-wafa ko tod den apni majal bhi nahin us se kaho ki do ghadi hum se wo aa mile kabhi mana ye hai muhaal par itna muhaal bhi nahin