fughan ki rahbar-e-rah-e-talab hain KHud kaj-rau

fughan ki rahbar-e-rah-e-talab hain khud kaj-rau
mile to kaise mile ab suragh-e-manzil-e-nau

ye rang-o-nur ka aalam ye mehr-o-mah ki zau
dar-asl hai mere husn-e-khayal ka partau

jo zindagi thi halak-e-fusun-e-rasm-e-kuhan
sanwar rahi hai ba-faiz-e-shuur-e-adam-e-nau

rah-e-talab mein kisi rahzan ka zikr hi kya
jo rahbar hain guzar un se bach ke ai rahrau

hamein to manzil-e-maqsud tak pahunchna hai
sawad-e-sham kare rahbari ki subh-e-nau

wo baat jis ka haqaeq se wasta bhi na tha
khusha ki ban gai unwan har fasana-e-nau

taras raha hun main takmil-e-arzu ke liye
ye aashiqi ka sila hai ki hasil-e-tag-o-dau

'atiq' maut hai sirf is liye aziz mujhe
ki zindagi hai bhadakte hue charagh ki lau


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close