ek hangama-e-fariyaad har ek dil se utha kaun ye ishq ka mara teri mahfil se utha ghaaliban dil ki bhi aawaz yahi thi lekin khair se shor-e-qayamat teri mahfil se utha apna bhi aks-e-tajalli tha ba-andaz-e-jamal aur kya arz karun kaun muqabil se utha justuju khatm nazar sust tamanna mahjub kaun wamanda-qadam parda-e-manzil se utha khugar-e-sai-e-mukafat-e-amal ban ke 'atiq' faeda tu bhi har aasani-o-mushkil se utha