fughan-o-ah se paida kiya dard-e-judai ko

fughan-o-ah se paida kiya dard-e-judai ko
ghazab mein jaan ko dala jata kar aashnai ko

mitaya pas-e-ruswai se meri aashnai ko
bichhaun aap ki ismat ko odhun parsai ko

na aaya baad-e-murdan bhi lahad par fatiha padhne
main itna bhi na samjha tha teri na-ashnai ko

na dil apna hua apna na ek but par hua qabu
karenge yaad kiya hum ai khuda tere khudai ko

kisi mahfil mein jis dam zikr-e-sham-e-tur hota hai
dikha dete hain wo jal kar sar-angusht-e-hinai ko

faqir-e-be-nawa us ke dar-e-daulat ka hai banda
ghanimat jaante hain shah tak jis ki gadai ko

asar paida karegi aah apni yar ke dil mein
nishane tak khuda pahunchaega tir-e-hawai ko

kabhi hai fikr duniya ki kabhi uqba ka dhadka hai
utarun jama-e-tan se main kyunkar is dulai ko

gareban hath aata hai na sahra tak pahunchta hun
khuda ke waste dekho mere be-dast-o-pai ko

falak wo tafraqa-parwaz-e-alam hai dila sar par
ghanimat jaanta hun gor tak apni rasai ko

shikasta-dil hain har dam har ghadi hain jaan ke lale
karun kya nosh-daro ko main kya lun musiyai ko

tamanna-e-dili ne 'muntahi' khoya mashikhat ko
milaya khak mein dast-e-hawas ne mirzai ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close