shahpara-e-adab ho agar wardat-e-dil

shahpara-e-adab ho agar wardat-e-dil
naqsh-o-nigar-e-fikr mein ho jae muntaqil

tha e'tibar-e-zabt magar aaj na-gahan
khud wo tadap uthe hain kuchh aisa dukha hai dil

lutf-o-karam ki ab wo tamanna nahin rahi
kis daur mein hui hai teri chashm munfail

thi aarzu sakun ki magar is qadar nahin
is shiddat-e-khulus se ghabra gaya hai dil

kis waqt yaad aai hai daur-e-nashat ki
mahaul bhi udas tabiat bhi muzmahil

muddat ke baad aaj mile bhi to is tarah
kuchh hum bhi sharmsar hain kuchh wo bhi hain khajil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close