furqat se ham-kanar to tu bhi hai main bhi hun milne ko be-qarar to tu bhi hai main bhi hun duniya mein sar utha ke kahan tak chalenge hum duniya se sharmsar to tu bhi hai main bhi hun aisa karen ki bant len aapas ke ranj-o-gham haalat ka shikar to tu bhi hai main bhi hun manzil ki aarzu mein bhatakne ka shauq rakh ek rah ka ghubar to tu bhi hai main bhi hun mahfil mein us ki ja ke magar kya karenge hum ghairon mein ab shumar to tu bhi hai main bhi hun jo dil-fareb hain wahi manzar hain dil-nashin kahne ko hoshiyar to tu bhi hai main bhi hun 'bebak' rukh pe chhane lage hain khizan ke rang go hasil-e-bahaar to tu bhi hai main bhi hun