kahan hai aisi zamin jis pe aasman na ho wo kaisa shahr jahan ek bhi makan na ho hamare dasht ne itna to intizam rakkha saron pe dhup rahe koi saeban na ho dil-o-dimagh ki uljhan mein ye kahan mumkin ki zehn-o-dil to thaken ruh ko thakan na ho khud apni pith to hum thapthapa nahin sakte hamein hai khauf ki beja koi guman na ho main khwab dekh raha hun is ehtiyat ke sath itab-e-subh se sapna lahu-luhan na ho zamin se dur chale aae hain magar 'bebak' dua karo ki yahin khatm ye udan na ho