fursat-e-hijr mein kuchh kar-e-tamasha hi sahi tu nahin mujh ko mayassar to ye duniya hi sahi main kisi rahm-o-karam par to nahin teri tarah zist ki rah pe ab chahe main tanha hi sahi qarya-e-ghair mein alfaz ka dam ghatta hai fart-e-izhaar ke pal apna ilaqa hi sahi pahle badh-chadh ke mohabbat mein kiya waqt basar ab zabun-haali-e-jazbaat mein itna hi sahi jaane wale tu koi ek to bharam rahne de kuchh na kuchh dil ke liye hasil-e-rafta hi sahi sarsari ranj pe banta hai hasan zabt magar is bahane se chalo warzish-e-girya hi sahi