sach hai ki is bahaar ke aage ye kuchh nahin lekin hamare pyar ke aage ye kuchh nahin mai ka khumar thik hai apni jagah magar tere diye khumar ke aage ye kuchh nahin shahon ke taj waqai behad hasin hain lekin jamal-e-yar ke aage ye kuchh nahin chahe jahan kare na kare mujh pe e'tibar ek tere e'tibar ke aage ye kuchh nahin majburiyan hamari hon ruswai ka sabab han tere ikhtiyar ke aage ye kuchh nahin kaliyan bahaar phul chaman aur wadiyan mahbub ke dayar ke aage ye kuchh nahin jitna bhi apne sar ko uthaen ye nafraten 'kashif' 'adib' pyar ke aage ye kuchh nahin