fusun kar gai raat pagal hawa uda le gai surkh aanchal hawa hui jis ghadi dhul se dosti bani dasht-e-ghurbat mein baadal hawa mujhe zindagi ek gulistan lage dikha chal ke ab us ko jangal hawa jala de iradon ke tufan ko bujha de agar teri mashal hawa sadak par badan ek pada dekh kar chali ghum kar su-e-maqtal hawa khushi ke charaghon ne samjha hai kab tujhe ai shab-e-gham ki bojhal hawa lahu raat ki raat girta raha rahi raat ki raat jal-thal hawa