jalega chand sitare dhuan udaenge hamare khwab teri aankh mein jab aaenge meri nazar se wo chehre utar nahin sakte jinhen ye ahl-e-nazar jald bhul jaenge ghazal sunao bahalna bahut zaruri hai hansenge log hum aansu agar bahaenge phir aai sham darakhton pe ghonsle jage magar hum aaj bhi ai dost ghar na jaenge udas rahiye na ukta ke khud-kushi kije wo din qarib hai jab aap gul khilaenge kafan se kam nahin jade ki chandni 'rahi' ab is ko odh ke hum kaise muskuraenge