fusun-saz tilism-e-sham tumhaare nam wufur-e-shauq khumar-e-jam tumhaare nam zamin-e-dil jo hui tamam tumhaare nam ye harf lafz nawa kalam tumhaare nam hain jitne rang tamam rang tumhaare hain rahe sada ye dhanak-nizam tumhaare nam bahut se nam hain husn ke magar asl mein azal se husn ke sare nam tumhaare nam balaon ki to bas ibtida hain qayamaten balaon ka magar ikhtitam tumhaare nam