bhatak na jae khudaya nazar kitabon mein guzarte hain mere sham-o-sahar kitabon mein jahan bhar mein hain jazib hazar-ha chizen magar nazar ne banaya hai ghar kitabon mein hazar haif hamin bahara-yab ho na sake kahan kahan ka tha ilm-o-hunar kitabon mein wo ilm-e-zat ki jis ki hamein khabar na hui wo ilm-e-zat bhi tha jalwa-gar kitabon mein hamare qaul-o-amal par hua na koi asar ulajh ke rah gai apni nazar kitabon mein jahan bhi sang-e-hawadis ki ho gai barish chhupa liya hai wahin apna sar kitabon mein mutala ki numaish hi jin ka maqsad tha mila na kuchh bhi unhen umr bhar kitabon mein talash jin ki har ek ilm-dan ko rahti hai wo durr-e-ilm bhi hain mo'atabar kitabon mein yahin huin meri hasti ki ibtida-e-safar ho khub-tar jo ho khatm-e-safar kitabon mein zamane bhar ki khabar mil gai kitabon se mili na apni zara bhi khabar kitabon mein hui hai jis se meri fikr-e-gauharin 'maghmum mujhe mili hai wo tab-e-guhar kitabon mein