gada dast-e-ahl-e-karam dekhte hain hum apna hi dam aur qadam dekhte hain na dekha jo kuchh jam mein jam ne apne so yak qatra-e-mai mein hum dekhte hain ye ranjish mein hum ko hai be-ikhtiyari tujhe teri kha kar qasam dekhte hain gharaz kufr se kuchh na din se hai matlab tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain hubab-e-lab-e-ju hain ai baghban hum chaman ko tere koi dam dekhte hain nawishte ko mere mitate hain ro ro malaek jo lauh o qalam dekhte hain mita jae hai harf harf aansuon se jo nama use kar raqam dekhte hain akad se nahin kaam sumbul ki hum ko kisi zulf ka pech o kham dekhte hain khuda dushmanon ko na wo kuchh dikhae jo kuchh dost se apne hum dekhte hain sitam se kiya tu ne hum ko jo khugar karam se tere hum sitam dekhte hain magar tujh se ranjida-khatir hai 'sauda' use tere kuche mein kam dekhte hain