kai zamanon ke dariya-e-nil chhod gaya wo waqt tha jo mujhe lakhon mil chhod gaya na bhige hont bhi kam-zarf dasht o dariya ke mera husain lahu ki sabil chhod gaya sab ek se the tulu-o-ghurub-e-jaan us ke judai mein bhi wo naqsh-e-jamil chhod gaya the us ke sath zawal-e-safar ke sab manzar wo dukhte dil ke bahut sang-e-mil chhod gaya main murda paniyon mein chand sa rawan dekhun wo warse mein mujhe khwahish ki jhil chhod gaya main zinda sach tha samundar ki gunj ki surat gawahi le nahin paya dalil chhod gaya