gada-e-shahr-e-ainda tahi-kasa milega tajawuz aur tanhai ki had par kya milega siyahi pherti jati hain raaten bahr o bar pe inhi tarikiyon se mujh ko bhi hissa milega main apni pyas ke hamrah mashkiza uthae ki in sairab logon mein koi pyasa milega riwayat hai ki aabai makanon par sitara bahut raushan magar namnak o afsurda milega shajar hain aur is mitti se paiwasta rahenge jo hum mein se nahin aasaishon se ja milega rida-e-reshmi odhe hue guzregi mishal nashist-e-sang pe har subh gul-dasta milega wo aaina jise ujlat mein chhod aae the sathi na jaane baad-o-khak-asar mein kaisa milega use bhi yaad rakhna baad-bani saaton mein wo sayyara kanar-e-subh-e-farda aa milega chara-gahon mein ruk kar aasmani ghantiyon ko suno kuchh der ki wo zamzama-paira milega usi ki wadiyon mein tairan-e-rizq-ju ko nasheman aur ujli nind ka dariya milega usi ja-e-namaz o raaz pe ek roz 'sarwat' achanak dar khulega aur wo jhonka milega