gadi ki khidki se dekha shab ko us ka shahr chaaron or tha kala jangal bich mein ujla shahr yaad na aata kyun ganw mein hum ko bhi lahore log samundar-par na paen is se achchha shahar sach hai har ek mulk khuda ka des hai har insan ka lekin apna shahr hai yaro aakhir apna shahr khwab mein sun kar jag uthta hun un ki chikh-pukar uf wo ladte marte basi uf wo jalta shahr poshida hain dil mein us ki yaadon ke tufan dafn hain ek khandar ki tah mein kitne zinda shahr mujh par ek ghanghor udasi tujh par rang aur nur mera chehra ban hai pyar se tera chehra shahr kal ki baat hai aur thakan se ab tak chur hun main us ladki ka jism tha 'zahid' uncha-nicha shahr