mizaj-e-sher ko har daur mein raha mahbub khanakta lahja sulagta hua naya uslub talash aur tajassus ke bawajud hamein wo chiz mil na saki jo hai waqt ko matlub koi bhi aankh wahan tak pahunch nahin sakti chhupa ke rakkhe hain tu ne jahan mere maktub abhi to aas ke aangan mein kuchh ujala hai salone chand judai ke baadalon mein na dub jo log kahte rahe hain khuda mohabbat hai khud un ke hathon hi masumiyat hui maslub 'quli'-qutub nahin 'zahid'-kamal hun ai dost main tere nam se kis shahr ko karun mansub