gae dinon ke fasane suna rahi hai mujhe ye raat aur bhi pagal bana rahi hai mujhe ye dhundli dhundli si parchhaiyan hain ya khilqat uthae sang-e-malamat dara rahi hai mujhe khula wo ek daricha ghane darakhton mein wo sabz-posh hawa phir bula rahi hai mujhe mujhe to chand kahin bhi nazar nahin aata koi kiran si magar jagmaga rahi hai mujhe mahak uthi hai achanak gali gali dil ki kali kali se teri bas aa rahi hai mujhe chaman chaman meri aawargi ke charche hain nagar nagar koi aandhi uda rahi hai mujhe main zindagi ki sakhawat pe kanp uthta hun ki be-daregh ye zalim luta rahi hai mujhe