sach kahne ka aakhir ye anjam hua sari basti mein main hi badnam hua qatl ka mujrim rishwat de kar chhut gaya qismat dekho mere sar ilzam hua mere gham par wo aksar hans deta hai ye to gham ka ghair munasib dam hua zakhm yahan to waise ka waisa hi hai tum batlao tum ko kuchh aaram hua tanhai ne jab se qaid kiya mujh ko bahar aane mein tab se nakaam hua roz masail ghere hain mujh ko to ab soch raha hun gardish-e-ayyam hua akhbaron mein khud ko padhte sochun hun 'mit' yahan par mera bhi kuchh nam hua