gae dinon ki musafirat ka ba-yak-qalam ishtihaar likhna

gae dinon ki musafirat ka ba-yak-qalam ishtihaar likhna
mere pasine ka pyar likhna lahu ka apne qarar likhna

ajab hai kya meri samt aa kar tamam patthar mahak uthenge
tumhaare atraf kis qadar hai mere khaton ka hisar likhna

dalil chahe agar qalam meri tarah aankhon ko mund lena
tamam andhi nigah walon ko be-jhijak shab-guzar likhna

hina ko tarse hue kaf-e-pa ka jal tuk ruk ke puchh lena
kahan talak aabdariyon mein hai surkh sabze ki dhaar likhna

ukhad ke dahliz dar ki chaukhat se kitni dur pe ja padi hai
hai kitni shiddat se un ruton mein tumhein mera intizar likhna

main jaanta hun khatak rahi hai tumhein meri muntashir dimaghi
bhare-pure shahr mein utar kar mera mujhe be-dayar likhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close