nisbat hi kisi se hai na rakhte hain hawale han hum ne jala dale hain rishton ke qabaale be-ruh hain alfaz kahen bhi to kahen kya hai kaun jo mani ke samundar ko khangale jis samt bhi jaun main bikhar jaane ka dar hai is khauf-e-musalsal se mujhe kaun nikale main dasht-e-tamanna mein bas ek bar gai thi us waqt se riste hain mere panw ke chhaale be-chehra sahi phir bhi haqiqat hai haqiqat sikka to nahin hai jo koi is ko uchhaale 'sarwat' ko andheron se daraega koi kya wo sath liye aai hai qadmon ke ujale