gae guzre dinon ki yaad ka nashsha abhi tak hai mere paimana-e-dil mein koi sahba abhi tak hai chhalak padte hain aansu aankh se ek mod mudte hi purane ghar ki galiyon se mera rishta abhi tak hai ai ku-e-yar tu shayad use ab bhul baithi ho magar tere sabab se shakhs ek ruswa abhi tak hai tasawwur hi ki duniya thi khayalon hi mein rahte the yaqin se kam nahin tha jo wahi dhoka abhi tak hai inhi aankhon se guzra hai wo har manzar jo kahti hain sarasar wahm tha wo sab ke jo dekha abhi tak hai ye ghar us shakhs ki mehnat ko ab tak kharch karta hai jo salon pahle mar kar bhi kahin zinda abhi tak hai masail kuchh bhi hon lekin mujhe kab fikr thi koi the wo bhi din main kahta tha mera abba abhi tak hai mohabbat ki bhala is se badi tasdiq kya hogi musalmanon ki basti mein jo mandir tha abhi tak hai bura kahti hai gar duniya hamein to masala kya hai hamein to fikr hai us ki ki jo achchha abhi tak hai hujum-e-dostan har su hai lekin bawajud is ke 'amar' kya baat hai aakhir jo tu tanha abhi tak hai