sharabon par guzara hai khasara hi khasara hai nahin niyyat sanbhalne ki wagarna har sahaara hai guman hone ke sau manzar yaqin ko ek nazara hai lo aankhen mund lin hum ne magar jo aashkara hai takhayyul ki riayat mein tu ab tak bhi hamara hai tabiat be-niyazi ki takalluf har gawara hai bade nazan hain dukh sah kar bada hi tir mara hai hamein kis baat ki diqqat jo pyara hai wo pyara hai chalo phir zindagi ji len agarche kuchh na chaara hai 'amar' sahib hue farigh sabhi kuchh jit haara hai