gae ji se chhute buton ki jafa se yahi baat hum chahte the khuda se wo apni hi khubi pe rahta hai nazan maro ya jiyo koi us ki bala se koi hum se khulte hain band us qaba ke ye uqde khulenge kaso ki dua se pasheman tauba se hoga adam mein ki ghafil chala shaikh lutf-e-hawa se na rakhi meri khak bhi us gali mein kudurat mujhe hai nihayat saba se jigar-sui-e-mizhgan khincha jae hai kuchh magar dida-e-tar hain lohu ke pyase agar chashm hai to wahi ain haq hai tassub tujhe hai ajab ma-siwa se tabib subuk-e-aql hargiz na samjha hua dard-e-ishq aah duna dawa se tak ai muddai chashm-e-insaf wa kar ki baithe hain ye qafiye kis ada se na shikwa shikayat na harf-o-hikayat kaho 'mir' ji aaj kyun ho khafa se