har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin mujh ko ye dar hai ki laen na ye tufan tujh bin lala-o-gul ki taraf kis ki bala dekhe hai ji ko bhati hi nahin sair-e-gulistan tujh bin aa gaya bas-ki khalal mazhab-o-millat mein meri na raha gabr mein pyare na musalman tujh bin dil gaya din gaya sabr gaya tab gai yun hi apne to hue saikdon nuqsan tujh bin na khile ghuncha-e-taswir ke manind kabhu lab-e-khamosh mere ai gul-e-khandan tujh bin jab se ai gul tu gaya bistar-e-ashiq pe tere gul-e-baalin na hue sumbul-o-raihan tujh bin samne se meri aankhon ke na ja man kaha kis ko dekhunga main phir ai mah-e-taban tujh bin roz dushman ka bhi is tarah na katiyo ya-rab main ne jis zulm se kati shab-e-hijran tujh bin mah-e-nau sham ke hote hi tasawwur mein tere tha khada sar pe liye khanjar-e-uryan tujh bin aur jo jati thi kabhi khosha-e-parwin pe nigah wo bhi lagta tha sanam dasta-e-paikan tujh bin 'mushafi' ja ke gulistan mein kare kya pyare ki gulistan hai use khana-e-zindan tujh bin