gae manzaron se ye kya uda hai nigah mein koi aks hai ki ghubar sa hai nigah mein hama-waqt apni shabih ke hun main ru-ba-ru koi ashk hai ki ye aaina hai nigah mein koi shahr-e-khwab guzar raha hai khayal se koi dasht-e-sham sulag raha hai nigah mein kaf-e-dard se gham-e-kaenat ki gard se wahi mit raha hai jo naqsh sa hai nigah mein koi tirgi hai furaat-e-jaan mein rawan-dawan magar ek charagh sa tairta hai nigah mein gae mausamon ki wo sabz rang hikayaten koi aab-e-surkh se likh gaya hai nigah mein