khwahish-e-wasl ko qalil na kar shab-e-hijran ko ab tawil na kar main ne tujh ko rakha sar-ankhon par zindagi tu mujhe zalil na kar jis ka ji chahe pi le ji bhar ke itni sasti kabhi sabil na kar apne nam-o-nishan mitata chal naqsh-e-pa ko tu sang-e-mil na kar nind ki wadiyon mein raat guzar arsa-e-khwab ko qalil na kar tera muhtaj umr bhar main rahun ai khuda mujh ko khud-kafil na kar raat ki aankh band hone lagi dastan ko bahut tawil na kar main ne to ashk pi liya 'nuri' apni aankhon ko tu bhi jhil na kar