gae wo din ki teri dushmani se darte the saza-e-maut hain ab to teri panahen bhi zaruraton ki parastish nazar mein zinat hai najat kaise milegi agar ye chahen bhi qarib qurb tha wo ya qaza se duri hai bas ek lakir si lagti hain shahrahen bhi hamari baat zaruri nahin ki sach hi ho darun-e-zat ki taswir hain nigahen bhi ye mere ghar ki amiri ajab amiri hai ki apne mal ko tarsen meri nigahen bhi mizaj-e-adl par aksar giran guzarti hain amir zulm ke pichhe gharib aahen bhi hain aap taq haqiqat ki parda-poshi mein ki khud hi zulm karen aur khud karahen bhi