phir aur kya hai agar chashmak-e-sharar nahin bashar ki zist ka duniya mein eatibar nahin suna hai hum ne mohabbat hi mein faqat hai qarar magar ye kya ki mohabbat ko khud qarar nahin kisi ki baat ka ab kaun eatibar kare ye dekh kar ki kisi ka kuchh eatibar nahin gunahgar ko ai dosto bura na kaho nahin bashar wo bashar jo gunahgar nahin hamare dil mein hain kai dagh puchhte kya ho koi hisab nahin hai koi shumar nahin hai jab se us ka tasawwur ye haal hai ki mujhe khizan ka khauf nahin khwahish-e-bahaar nahin