gagan mein jab apna sitara na dekha to jine ka koi sahaara na dekha nazar hai, magar wo nazar kya ki jis ne khud apni nazar ka nazara na dekha bhale wo dubae ubhaare ki hum ne bhanwar dekh li to kinara na dekha wo bas nam ka aaina hai ki jis ne kabhi husn ko khud sanwara na dekha tumhein jab se dekha, tumhein dekhte hain kabhi mud ke khud ko dobara na dekha sabhi nafraton ki dawa hai mohabbat ki is se alag koi chaara na dekha main baadal mein roya, hansa bijliyon mein kisi ne ye mera ishaara na dekha 'kunwar' hum usi ke hue ja rahe hain jise hum ne ab tak pukara na dekha