raat se din ka wo jo rishta thi sham thi aur kaisi tanha thi khat ke purze pade the kamre mein ek purani kitab bhi wa thi sab ke matlab ke khwab the us mein shab ke hathon mein ek pudiya thi raat bhar aandhiyon ka daur chala shakh par ek udas chidiya thi un dinon jab wo mere sath hi tha meri duniya bhi ek duniya thi jhil jaisi thin us ki hi aankhen baqi duniya to khair sahra thi aakhirash dubna pada mujh ko aarzu thi ya koi dariya thi