gah bismil hun gahe takbir hun apni main tadbir ka taqdir hun mere dam se hai junun ki aabru pasban-e-khana-e-zanjir hun be-rukhi par hai kaman taqdir ki go sarapa nawak-e-tadbir hun dushmanon ke hun zarar ka sarnawisht doston ke nafa ki taqrir hun hai kharabi rakhna-andaz-e-bina qasr-e-barbaadi ka main tamir hun qad tawazoa mein hai kham misl-e-kaman rast-kari mein misal-e-tir hun main hun ek naqqash shair ai 'waqar' khinchta ashaar ki taswir hun