gar adu taqdir hai tadbir rahne dijiye

gar adu taqdir hai tadbir rahne dijiye
dost ka dil mein hamare tir rahne dijiye

hain jo aashiq kaam mazduron ka wo karte nahin
zimma-e-farhad ju-e-shir rahne dijiye

laila-o-majnun ki ek kaghaz pe hoti hai shabih
ru-ba-ru us ke meri taswir rahne dijiye

hai junun fasli karo zanjir tar-e-ashk se
taur par mere meri tadbir rahne dijiye

sim-o-zar banta hai khak-e-kushta-dil se aap ke
pas apne jaan kar iksir rahne dijiye

aastin se hath bahar ho na ai jaan-e-jahan
bas miyan andar hi ye shamshir rahne dijiye

tir-e-be-paikan nishana todta hai kab 'waqar'
munh ki munh mein aah-e-be-tasir rahne dijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close