gahe-gahe na mujhko ghiza dijiye

gahe-gahe na mujh ko ghiza dijiye
bhuk ko marne ki dawa dijiye

main hun sachcha to mujh ko sila dijiye
aur jhuta hun to phir saza dijiye

bol kar hi batana zaruri nahin
aap raazi hain to muskura dijiye

wo jo chehre ke pichhe bhi dikhlata ho
mujh ko aisa koi aaina dijiye

hum bhi aae hain jhukne dar-e-yar par
hum ko bhi jaane ka rasta dijiye

mere dil mein to bas aap hi aap hain
aap ke dil mein kya hai bata dijiye

apne bahar se 'ulfat' bahut mil chuka
ab mere ghar se mujh ko mila dijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close