lamhat gham-e-ishq ke bebak bahut the

lamhat gham-e-ishq ke bebak bahut the
qisse meri chahat ke khatarnak bahut the

main khun ke dhagon se unhen si nahin paya
zakhmon ke gareban mere chaak bahut the

aai hai bala ek falak se guman tha
jab ghaur kiya main ne to aflak bahut the

aa jata hai khud maut ko rah rah ke pasina
tewar meri hasti ke ghazabnak bahut the

duniya to rahi chand sitaron ki hawas mein
ambar khazanon ke tah-e-khak bahut the

afkar ke phulon ko bhi jab ghaur se dekha
kamyab the gul aur khas-o-khashak bahut the

ras aane laga pairahan-e-khak bhi hum ko
qudrat ke karishme pas-e-poshak bahut the

sine mein andhere ke tha poshida sawera
zahron ko chhupae hue tiryak bahut the

kuchh logon ki ruhon pe to qabiz raha shaitan
the ujle libas un ke wo napak bahut the

main tha jo ubharta gaya 'tauqir' bhanwar se
hasti mein meri daldal-o-loshak bahut the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close