gahra aur kushada hoga lekin aisa dekha hai aage aage aa jae ji jis ne dariya dekha hai zati taur pe pasti aur qamat donon ka shauq nahin bas itni unchi ho jaun jitna uncha dekha hai us ke kan surile honge jis ne wo aawaz suni us ki aankhen mithi hongi jis ne mitha dekha hai koi us ko pyas to koi sat samundar bolega wo utni hi baat karega jis ne jitna dekha hai bas tum ne us shakhs ke bare khud se aisa soch liya kapde maile honge par kirdar bhi mela dekha hai us ke pair pade to jalti ret ko yak-dam bakht lage main ne apni aankhon se sahra mein buta dekha hai kab tak sath rahega mujh ko ye hargiz malum nahin main ne to us shakhs ke bare khwab bhi aadha dekha hai