tumhaari yaad ke har shai se nazare nikalte hain jo mujh se farz chhute un ke kaffare nikalte hain duaon ka asar man ke labon se phut padta hai main jab be-chaara hota hun kai chaare nikalte hain kabhi masjid ki be-hurmat kabhi apman mandir ka amir-e-shahr ke ghar se kai dhaare nikalte hain kahan ka ilm kaisi degreeyan ye haal hai ki ab jahan suraj talasho ghor andhiyare nikalte hain yahi gar faisla hai aap ka to ye bhi sun lije hamare sath yaadon ke kai dhaare nikalte hain