gahra sukut zehn ko behaal kar gaya sochon ke phul phul ko pamal kar gaya suraj ne apni aanch ko wapas bula liya lekin mere lahu ko wo sayyal kar gaya kya faisla diya hai adalat ne chhodiye mujrim to apne jurm ka iqbaal kar gaya jo log dur the wo bahut dur ho gae ye taza hadisa bhi gaya sal kar gaya sahme hue hain chaaron taraf raushni ke aks ek hath aa ke surkh kai gal kar gaya main do qadam chala tha ki dhalwan aa gai 'afzal' safar to mera bura haal kar gaya