ai dost tu ne war ye bharpur kar diya pahle qarib kar ke mujhe dur kar diya rahti hun teri yaad mein madhosh raat din tere surur-o-kaif ne makhmur kar diya kishmish si naznin thi shakh-e-badan meri chahat ki aab-o-tab se angur kar diya khushbu tere badan ki hai sanson mein aaj tak tu ne milan ke baad to pur-nur kar diya tanhai zindagi ki kathin ho gai thi yar lams-o-surur bakhsh ke masrur kar diya mujh ko sharab-e-ishq pila ne ki der thi main ne bhi kaenat ko makhmur kar diya malba tumhaari yaad ka dhoya hai raat din nazuk si ek ladki ko mazdur kar diya deti hain mujh ko tane meri sab saheliyan kahti hain tujh ko ishq ne maghrur kar diya