gahraiyon mein dil ki utarta chala gaya gham ta-dam-e-hayat nikharta chala gaya yaadon ki wadiyon mein jahan rakh diye qadam har naqsh zindagi ka ubharta chala gaya lutf-o-karam ka daur bhi aaya to is tarah jhonka hawa ka jaise guzarta chala gaya sun li agar kisi ki kabhi aah-e-dil-kharash nashtar sa ek dil mein utarta chala gaya aaghaz-e-ishq ki faqat itni si yaad hai aankhon se koi dil mein utarta chala gaya hum bhi rah-e-hayat mein chalte rahe magar saya sa jaise koi guzarta chala gaya dekhi nigah-e-shauq mein jab gham ki dastan andaz-e-husn aur nikharta chala gaya wo rafta rafta zindagi se dur kya hue ehsas zindagi ka bhi marta chala gaya duniya-e-iltifat simatti chali gai shiraaza-e-hayat bikharta chala gaya