hawa chalti hai dam thahra hua hai faza mein kis ka gham thahra hua hai tasawwur mein ubharte khal-o-khad par musawwir ka qalam thahra hua hai usi ko apni manzil kah raha hai jahan jis ka qadam thahra hua hai samaat ke jaziron mein kahin par tere lahje ka ram thahra hua hai zara thahro ki chalti hai abhi sans chale aao ki dam thahra hua hai mere khwabon ke rukhsaron pe ab tak kisi bose ka nam thahra hua hai khuda bhi hai usi kuche ka basi jahan mera sanam thahra hua hai