gahraiyon mein zehn ki girdab sa raha sahil pe bhi khada hua gharqab sa raha be-nam si ek aag jalati rahi mujhe khun ke bajae jism mein tezab sa raha khali wajud hi liye phirta raha magar kandhon pe umr bhar mere asbab sa raha naghme bikherta raha ehsas-e-talkh bhi khama bhi mere hath mein mizrab sa raha ashkon mein us ke husn ki lau tairti rahi pani ke aasman pe mahtab sa raha kaam aai shairi bhi 'muzaffar' ke kis qadar tanhai mein bhi majma-e-ahbab sa raha